Mohammed Rafi

Boonden Nahin Sitare

in Saajan Ki Saheli

LYRIC

Boonden nahin sitare
Tapke hain kehkashan se
Boonden nahin sitare
Tapke hain kehkashan se

Sadke utar rahe hain
Tum par yeh aasmaan se
Boonden nahin sitare
Tapke hain kehkashan se

Moti ke rang rut ke
Katre damak rahe hain
Ya reshmi laton mein
Jugnu chamak rahe hain

Aanchal mein jaise bijli
Kaundhe yahan wahan se
Sadke utar rahe hain
Tum par yeh aasmaan seBoonden nahin sitare
Tapke hain kehkashan se

Dekhe to koyi aalam
Bheege se pairhan ka
Paani mein hai yeh shola
Ya noor hai badan ka

Angdai le rahe hain
Armaan jawan jawan se
Sadke utar rahe hain
Tum par yeh aasmaan se
Boonden nahin sitare
Tapke hain kehkashan se

Pehlu mein aake mere
Kya cheez lag rahi ho
Baahon ke dayare mein
Tasveer lag rahi ho

Hairan hoon ke tumko
Dekhun kahan kahan se
Sadke utar rahe hain
Tum par yeh aasmaan se
Boonden nahin sitare
Tapke hain kehkashan se

Sadke utar rahe hain
Tum par yeh aasmaan se
Boonden nahin sitare
Tapke hain kehkashan se