Lata Mangeshkar
Bedardi Balma Tujhko
in Arzoo
LYRIC
Bedardi balma tujhko
Mera man yaad karta hai
Bedardi balma tujhko
Mera man yaad karta hai
Barasta hai jo aankhon se
Woh sawan yaad karta hai
Bedardi balma tujhko
Mera man yaad karta hai
Kabhi hum sath ghuzre jin
Sajeeli raahguzaron se
Fiza ke bhes mein girte hain
Ab patte chanaron se
Yeh raahein yaad karti hain
Yeh gulshan yaad karta hai
Bedardi balma tujhko
Mera man yaad karta haiBarasta hai jo aankhon se
Woh sawan yaad karta hai
Bedardi balma tujhko
Mera man yaad karta hai
Koyi jhonka hawa ka jab
Mera aanchal udata hai
Gumaan hota hai jaise tu
Mera daaman hilata hai
Kabhi chooma tha jo tune woh
Daaman yaad karta hai
Bedardi balma tujhko
Mera man yaad karta hai
Barasta hai jo aankhon se
Woh sawan yaad karta hai
Bedardi balma tujhko
Mera man yaad karta hai
Wohi hain jheel ke manzar
Wohi kirnon ki barsatein
Jahan hum tum kiya karte the
Pehron pyaar ki baatein
Tujhe is jheel ka khamosh
Darpan yaad karta hai
Bedardi balma tujhko
Mera man yaad karta hai
Barasta hai jo aankhon se
Woh sawan yaad karta hai
Bedardi balma tujhko
Mera man yaad karta hai