Mohammad Rafi

Are Re Re Sambhalo

in Khuda Kasam

LYRIC

Are re re sambhalo mujhe yaaron
Maine nahi pe yeh pyar ka nasha hai
Are re re sambhalo mujhe yaaron
Maine nahi pe yeh pyar ka nasha hai
Yeh kabhi utra hai, na kabhi utrega
Yeh miyan jaam ka nahi
Nigaah-e-yaar ka nasha hai
Are re re sambhalo mujhe yaaron

Jab ek sath kayi yaar nazar aate hain
Khushi ke maare kabhi
Kadam behak jaate hain
Inse miliye yeh hain ek jaan’ne wale mere
Aur yeh bhi to hain pehchan’ne wale mere
Aapke dil mein hai ke mujhe hosh nahi
Aji hans kar na dekhiyeMujhe har baat ka pata hai
Are re re sambhalo mujhe yaaron
Maine nahi pe yeh pyar ka nasha hai

Yahan aise bhi hain jinki surat, jinki surat
Woh nahi hai jo nazar aati hai
Yeh nazara bhi ajab hai yaaron
Ke jo dushman hai wohi sathi hai
Yeh to ranjeebi hai kaisi tauba
Ke tabiyat meri ghabraati hai
Jo kahin zulf mehak uthti hai
To kahin khoon ki boo aati hai
Are yeh main kya keh gaya
Mujhe kya aaj ho gaya
Yeh miyan jaam ka nahi
Nigaah-e-yaar ka nasha hai
Are re re sambhalo mujhe yaaron
Maine nahi pe yeh pyar ka nasha hai

Kar dena maaf sanam meri yeh baatein
Hoti hain tumse kahan aisi mulakatein
To chalo chal ke kahin do dil pyar karein
Aaj tak jo na kiya wohi ikraar karein
Humein sweekar karo tum
Tumhein sweekar karein hum
Ke humein aaj gulbadan
Tere deedar ka nasha hai
Are re re sambhalo mujhe yaaron
Maine nahi pe yeh pyar ka nasha hai
Are re re sambhalo mujhe yaaron
Maine nahi pe yeh pyar ka nasha hai
Are re re sambhalo mujhe yaaron