Vishal Dadlani, Mame Khan, Robert Omulo
Aitbaar
in No One Killed Jessica
LYRIC
Gulzar zaar hua Aitbaar
Tukde hazar hua aitbaar
Hua sharmsar khud se hi haar kar ke
Kyun taar taar hua aitbaar
Jhootha khumar hua aitbaar
Seene mein yaar chubhta gubar banke
Dil aitbaar karke, ro raha hai
Aitbaar aitbaar aitbaar aitbaar aitbaar karke
Dar ka shikar hua aitbaar
Dil mein daraar hua aitbaar
Kare cheetkar baahein pasaar karke
Nashtar ki dhaar hua aitbaarPasli ke paar hua aitbaar
Choose hai khoon bada khoonkhar banke
Jhulsi hui is rooh ke chithde pade bikhre hue
Udhdi hui ummeed hai o
Raunde jinhein kadmon tale
Badi beraham raftaar yeh
Bejaan si is geed ki o
Jal bhun ke rakh hua aitbaar
Ganda mazaak hua aitbaar
Chidhta hai, kudhta hai, sadta hai raaton mein
Chhalni sa chaak hua aitbaar
Raste ki khaak hua aitbaar
Galta, pighalta hai, khalta hai raaton mein
Dil aitbaar karke ro raha hai
Aitbaar aitbaar aitbaar aitbaar aitbaar karke
Ro raha hai aitbaar karke
Dil aitbaar karke kho raha hai
Aitbaar aitbaar aitbaar aitbaar aitbaar karke
Ro raha hai aitbaar karke
Kyun phir zaar zaar hua aitbaar
Tukde hazar hua aitbaar
Hua sharmsar khud se hi haar kar ke
Nashtar ki dhaar hua aitbaar
Pasli ke paar hua aitbaar
Choose hai khoon bada khoonkhar banke