Mohammad Rafi
Agar Sansar Mein Aurat Na Hoti
in Grahasti
LYRIC
Woh aurat hai jo insanon ki
Unchi shaan karti hai
Zarurat ho to apna pyar bhi
Kurbaan karti hai
Agar sansar mein aurat na hoti
To insanon ki yej izzat na hoti
Agar sansar mein aurat na hoti
To insanon ki yej izzat na hoti
Jahan wale ne duniya ko racha ke
Anokha maan duniya ko diya hai
Magar aurat ki hasti ko bana ke
Khud apne naam ko ucha kiya hai
Agar aurat ko woh paida na karta
Mohabbat ki koyi keemat na hoti
Agar sansar mein aurat na hoti
To insanon ki yej izzat na hotiAgar sansar mein aurat na hoti
To insanon ki yej izzat na hoti
Kahin mata ka lekar roop usne
Bade hi pyar se bacchon ko pala
Kahin patni ka lekar roop usne
Kiya hai ghar ki duniya mein ujala
Grihasthi hai isi ke dum se warna
Gharon ki zindagi jannat na hoti
Agar sansar mein aurat na hoti
To insanon ki yej izzat na hoti
Agar sansar mein aurat na hoti
To insanon ki yej izzat na hoti