Manna Dey

Abhi To Haath Mein Jaam Hai

in Seeta Aur Geeta

LYRIC

Abhi to haath mein jaam hai
Tauba kitna kaam hai
Abhi to haath mein jaam hai
Tauba kitna kaam hai
Kabhi mili fursat to bai dekha jaayega
Duniya ke baare mein socha jaayega
Abhi to haath mein jaam hai

Jeene se pehle kaun mare

Thaka hua tha main zara
Zara sa sach mein jhooth bhara
Thaka hua tha main zara
Zara sa sach mein jhooth bhara
Utha ke botal ghoont bhara
To ab zara aaram hai
Hmm to ab zara aaram hai
Tauba kitna kaam hai
Kabhi mili fursat to bai dekha jaayega
Arre duniya ke baare mein ah socha jaayega
Abhi to haath mein jaam hai

Kisi ki na parwah karo
Kabhi na yaaron aah karo
Kisi ki na parwah karo
Kabhi na yaaron aah karo
Karo agar to waah karo
Yehi mera paigam hai
Haan yehi mera paigam hai
Tauba kitna kaam hai
Kabhi mili fursat to bai dekha jaayega
Arre duniya ke baare mein ah socha jaayega
Abhi to haath mein jaam hai