Lata Mangeshkar

Aapki Nazron Ne Samjha

in Anpadh

LYRIC

Aap ki nazron ne samjha
Pyaar ke kaabil mujhe
Dil ki aye dhadkan thehar ja
Mil gayi manzil mujhe
Aap ki nazron ne samjha

Ji hamein manzoor hai aapka yeh faisla
Ji hamein manzoor hai aapka yeh faisla
Keh rahi hai har nazar

Aapki manzil hoon main
Meri manzil aap hainAapki manzil hoon main
Meri manzil aap hain
Kyon main toofan se daroon
Mere sahil aap hain
Koi toofano se keh de
Mil gaya sahil mujhe
Dil ki aye dhadkan thehar ja
Mil gayi manzil mujhe
Aap ki nazron ne samjha

Pad gayi dil par meri
Aap ki parchhaiyan
Pad gayi dil par meri
Aap ki parchhaiyan
Har taraf bajne lagin
Saikadon shehnaiyan
Do jahan ki aaj khushiyan
Ho gayi haasil mujhe

Aap ki nazron ne samjha
Pyaar ke kaabil mujhe
Dil ki aye dhadkan thehar ja
Mil gayi manzil mujhe
Aap ki nazron ne samjha