Mohammed Rafi
Aankhon Mein Tumhare Jalwe Hain
in Shirin Farhad
LYRIC
Aankhon mein tumhare jalwe hain
Aankhon mein tumhare jalwe hain
Hothon pe tumhare afsane
Aankhon mein tumhare jalwe hain
Hothon pe tumhare afsane
Betaab yeh dil se tang aakar
Pahunche hai yahan tak deewane
Betaab yeh dil se tang aakar
Sahara bekason ka hai
Yahi insaaf ka ghar hai
Koyi bhi ho yahan par
Martaba sabka barabar hai
Haan yahan se maangne wala
Kabhi khali nahi jaataJahan bigdi huyi takdeer banti hai
Yeh woh dar hai
Takdeer ke kab tak zulm sahein
Tumse na kahein to kis se kahein
Tumse na kahein to kis se kahein
Yeh darde mohabbat kya shai hai
Yeh darde mohabbat kya shai hai
Bedard zamann kya jaane
Yeh darde mohabbat kya shai hai
Bedard zamann kya jaane
Aankhon mein tumhare
Tumhare aastane se
Na hum nakaam jayenge
Guzarti hai jo is dil par
Woh ro ro kar sunayenge
Tumhare dar pe aaj aaye hain hum
Yeh faisla karke
Yahin mar jayenge hum
Ya muradein apni payenge
Ya dil ki kali ab khil jaaye
Ya khaak mein hasti mil jaaye
Ya khaak mein hasti mil jaaye
Aye shama tere jalwon ki kasam
Aye shama tere jalwon ki kasam
Jalkar hi rahenge parwane
Aye shama tere jalwon ki kasam
Jalkar hi rahenge parwane
Aye shama tere jalwon ki kasam
Jalkar hi rahenge parwane
Aye shama tere jalwon ki kasam
Jalkar hi rahenge parwane
Aye shama tere