Asha Bhosle

Aaja Aanewala Aaja

in Lootere

LYRIC

Aaja
Aaja o aanewala aaja
Aaja o aanewala aaja
Dil ne pukara hai, tera sahara hai
Leke kahin tu chala ja
Har ek begana hai
Dushman zamana hai
Mera to dhadke jiya re piya aa aa aa

Ik to meri abhi hai chadhti jawani
Dooje sabki nigahein meri deewani
Ik to meri abhi hai chadhti jawani
Dooje sabki nigahein meri deewani
Bhookhi nazrein liye rang utaare koyi
Ghulta jaaye badan yoon nihare koyi
Ho gaya kuchh to kehna na mujhko
Maine yeh kya kiya re piya aa aa aa

Aa gaya, woh aa gaya
Aa gaya, woh aa gaya

Pehle tu maar le jo dushman se baazi
Phir tu jo bhi kahega uspe hoon raazi
Haan haan

Pehle tu maar le jo dushman se baazi
Phir tu jo bhi kahega uspe hoon raazi
Main nahi woh bahaar jo lute baar baar
Sirf teri hoon main kya khabar tujhko yaar
Main nahi dil vil, gaal ka til vil
Tujhpe sadke piya re piya aa aa aa

Aaja o aanewala aaja
Aaja o aanewala aaja
Dil ne pukara hai, tera sahara hai
Leke kahin tu chala ja
Har ek begana hai
Dushman zamana hai
Mera to dhadke jiya re piya aa aa aa