Lata Mangeshkar
Aaj Socha To Aansoo Bhar Aaye
in Hanste Zakhm
LYRIC
Aaj socha to aansoo bhar aaye
Aaj socha to aansoo bhar aaye
Muddatein ho gayi muskuraye
Aaj socha to aansoo bhar aaye
Aaj socha to aansoo bhar aaye
Har kadam par udhar mud ke dekha
Har kadam par udhar mud ke dekha
Unki mehfil se hum uth to aaye
Reh gayi zindagi dard banke
Rah gayi zindagi dard banke
Dard dil mein chhupaye chhupaye
Aaj socha to aansoo bhar aaye
Aaj socha to aansoo bhar aaye
Dil ki naazuk ragein toot’ti hainDil ki naazuk ragein toot’ti hain
Yaad itna bhi koyi na aaye
Aaj socha to aansoo bhar aaye
Aaj socha to aansoo bhar aaye
Muddatein ho gayi muskuraye
Aaj socha to aansoo bhar aaye
Aaj socha to aansoo bhar aaye