Asha Bhosle

Aaj Hai Karwa Chauth Sakhi

in Bahu Beti

LYRIC

Aaj hai karwa chauth sakhi ri
Maang le sukh ka daan ho
Aaj hai karwa chauth sakhi ri
Maang le sukh ka daan ho
Apne sapnon ke swami ka
Dhar kar man mein dhyan ho
Apne sapnon ke swami ka
Dhar kar man mein dhyan ho

Janam-janam tak maang ka teri
Rang pade na feeka
Janam-janam tak maang ka teri
Rang pade na feeka
Jab tak chamkein chaand-sitaareTab tak chamke teeka
Bandhe rahe manbhaate pritam
Ke pranon se praan ho
Aaj hai karwa chauth sakhi ri
Maang le sukh ka daan ho
Aaj hai karwa chauth sakhi ri

Jo koi maange aaj lagan se
Yug-yug ka sukh paaye
Jo koi maange aaj lagan se
Yug-yug ka sukh paaye
Sath safal ho prem amar ho
Jeevan mein ras aaye
Aaj har ik naari ko prabhu se
Milta hai vardan ho
Aaj hai karwa chauth sakhi ri
Maang le sukh ka daan ho
Apne sapnon ke swami ka
Dhar kar man mein dhyan ho
Aaj hai karwa chauth sakhi ri