Abhijeet

Chaand Taare Tod Laun

in Yes Boss

LYRIC

Jo bhi chaahun woh main paaun
Zindagi mein jeet jaaun

Chaand taare tod laun
Saari duniya par main chhaaun
Bas itna sa khwaab hai
Bas itna sa khwaab hai

Chaand taare tod laun
Saari duniya par main chhaaun

Yaar tu bhi sun zara aarzu meri hai kya
Main kya ban jaana chahta hoon
Main kahan kharab hoon
Main to lajawab hoon
Main yeh manwana chahta hoon
Maan jaa ae khuda itni si hai duaMain ban jaaun sabse bada
Main ban jaaun sabse bada

Mere peechhe mere aage
Hath jode duniya bhaage
Bas itna sa khwaab hai
Bas itna sa khwaab hai

Shaan se rahun sada mujhpe log hon fida
Haseenayein bhi dil hon khoti
Dil ka yeh kanwal khile sone ka mahal mile
Barasne lagein heere moti
Hey maan jaa ae khuda itni si hai dua
Main zyada nahi maangta
Main zyada nahi maangta

Saari daulat, saari taakat
Saari duniya par hukumat
Bas itna sa khwaab hai
Bas itna sa khwaab hai