Rahat Fateh Ali Khan, Shankar Mahadevan, Shreya Ghoshal

Ankhon Mein Neendein

in We Are Family

LYRIC

[Sargam by Shreya Ghoshal & Rahat Fateh Ali Khan]

AAnkhon mein neendein, neendon mein sapne
Sapnon mein baatein.. teri meri
Baaton mein shokhi, shokhi mein vaade
Vaade saugaatein teri meri
Ab na tootenge vaade kabhi
Aur na tootengi jo kasam
Khayein hum aankhon se pyaar ki

[Sargam]

Baantoon na kisi se saya bhi tera
Kajal jahan wahan tera basera
Ho aaye jaye suraj chahe jahan meinTera bina mera ho na savera
Tere kaandhe pe hi lage
Jannat jaisi koi jagah
Ab na Rab se gila tu hai mila
Ab na Rab se gila hai ghata
Aur mita sara yeh fasla
Hoti zara chahat sada hi sarphiri
Aankhon se ho aankhon pe yeh jaadugari
Hoti zara chahat sada hi sarphiri
Aankhon se ho aankhon pe yeh jaadugari

[Sargam]

Haathon mein mere teri lakeerein
Meri saari saansein teri jageerein
Dede chahe koi sara zamana
Badle mein doon na teri tasveerein
Ho.. Tere hone se hi main hoon
Main thi, main hoon, tu bhi main hoon
Tujh pe main hoon fida, mujhpe khuda
Tujh pe main hoon fida
Ab tujhe kar na doon sajda main yun adaa

Hoti zara chahat sada hi sarphiri
Aankhon se ho aankhon pe yeh jaadugari
Hoti zara chahat sada hi sarphiri
Aankhon se ho aankhon pe yeh jaadugari

[Sargam]