Mohammed Rafi

Waqt Se Din Aur Raat

in Waqt

LYRIC

Kal jahaan basti thi khushiyan
Aaj hai maatam wahan
Waqt laaya tha bahaarein
Waqt laaya hai khizan

Waqt se din aur raat
Waqt se kal aur aaj
Waqt ki har shai ghulam
Waqt ka har shai pe raj

Waqt se din aur raat
Waqt se kal aur aaj
Waqt ki har shai ghulam
Waqt ka har shai pe raj

Waqt ki gardish se hai
Chaand taaron ka nizaam
Waqt ki gardish se hai
Chaand taaron ka nizaamWaqt ki thokar mein hai
Kya hukumat ka samaj
Kya hukumat ka samaj

Waqt se din aur raat
Waqt se kal aur aaj
Waqt ki har shai ghulam
Waqt ka har shai pe raj

Waqt ki paband hain
Aati jaati raunakein
Waqt ki paband hain
Aati jaati raunakein
Waqt hai phoolon ki sej
Waqt hai kaanton ka taj
Waqt hai kaanton ka taj

Waqt se din aur raat
Waqt se kal aur aaj
Waqt ki har shai ghulam
Waqt ka har shai pe raj

Aadmi ko chahiye
Waqt se dar kar rahe
Aadmi ko chahiye
Waqt se dar kar rahe
Kaun jaane kis ghadi
Waqt ka badle mizaaj
Waqt ka badle mizaaj

Waqt se din aur raat
Waqt se kal aur aaj
Waqt ki har shai ghulam
Waqt ka har shai pe raj