Mohammad Aziz

Duniya Mein Kitna Gham Hai

in Amrit

LYRIC

Duniya mein kitna gham hai
Mera gham kitna kam hai

Duniya mein kitna gham hai
Mera gham kitna kam hai
Logon ka gham dekha to
Main apna gham bhool gaya

Duniya mein kitna gham hai
Mera gham kitna kam hai

Duniya mein kitna gham hai
Mera gham kitna kam hai

Koyi ek hazaaron mein
Shayad hi khush hota hai
Koyi kisi ko rota hai
Koyi kisi ko rota haiKoyi kisi ko rota hai
Koyi kisi ko rota hai

Char dino ki khushiyan hain
Char dino ke mele hain
Main apni kya baat karun
Saare log akele hain
Main apni kya baat karun
Saare log akele hain

Kaun kisi ka humdum hai
Mera gham kitna kam hai
Duniya mein kitna gham hai
Mera gham kitna kam hai

Logon ka gham dekha to
Main apna gham bhool gaya
Duniya mein kitna gham hai
Mera gham kitna kam hai

Apno ki beghanon ki
Preet badalti rehti hai
Is be-reet zamane ki
Reet badalti rehti hai
Is be-reet zamane ki
Reet badalti rehti hai

Yeh duniya ik mausam hai
Mera gham kitna kam hai
Duniya mein kitna gham hai
Mera gham kitna kam hai

Logon ka gham dekha to
Main apna gham bhool gaya
Duniya mein kitna gham hai
Mera gham kitna kam hai

Sabke dil mein shole hain
Sabki aankh mein paani hai
Jisko dekho uske paas
Ek dukh bhari kahaani hai
Jisko dekho uske paas
Ek dukh bhari kahaani hai

Dukhiya saara aalam hai
Mera gham kitna kam hai
Duniya mein kitna gham hai
Mera gham kitna kam hai
Logon ka gham dekha to
Main apna gham bhool gayi