Mohammad Rafi
Jinhe Naaz Hai Hind Par
in Pyaasa
LYRIC
Yeh kooche hmm ghar dilkashi ke
Yeh kooche yeh neelaam ghar dilkashi ke
Yeh lut’te huye kaarwan zindagi ke
Kahan hain kahan hain muhafiz khudi ke
Jinhe naaz hai hind par woh kahan hain
Kahan hain kahan hain kahan hain
Yeh pur pench galiyan yeh badnaam bazaar
Yeh gumnaam raahi yeh sikkon ki jhankaar
Yeh sadiyon se bekhwaab sehmi si galiyan
Yeh masli huyi adhkhili zard kaliyan
Yeh bikti huyi khokhli rangraliyan
Jinhe naaz hai hind par woh kahan hain
Kahan hain kahan hain kahan hain
Woh ujle dareechon mein
Paayal ki chhan chhan
Thaki haari saanson pe
Table ki dhan dhan
Woh ujle dareechon mein
Paayal ki chhan chhan
Thaki haari saanson pe
Table ki dhan dhan
Yeh berooh kamron mein khansi ki than than
Jinhe naaz hai hind par woh kahan hain
Kahan hain kahan hain kahan hain
Yeh phoolon ke gajre
Yeh peekon ke chheente
Yeh bebaak nazarein
Yeh gustakh fikare
Yeh phoolon ke gajre
Yeh peekon ke chheente
Yeh bebaak nazarein
Yeh gustakh fikare
Yeh dhalke badan aur yeh beemar chehre
Jinhe naaz hai hind par woh kahan hain
Kahan hain kahan hain kahan hain
Yahan pir bhi aa chuke hain jawan bhi
Tan-o-mand bete bhi abba miyan bhi
Yeh biwi bhi hain
Yeh biwi bhi hain aur
Behan bhi hain maa hai
Jinhe naaz hai hind par woh kahan hain
Kahan hain kahan hain kahan hain
Madad chaahti hai yeh hawwa ki beti
Yashoda ki humjins Radha ki beti
Madad chaahti hai yeh hawwa ki beti
Yashoda ki humjins Radha ki beti
Payambar ki ummat zuleh khan ki beti
Jinhe naaz hai hind par woh kahan hain
Kahan hain kahan hain kahan hain
Zara mulk ke rehbaron ko bulao
Yeh kooche yeh galiyan yeh manzar dikhao
Jinhe naaz hai hind par unko lao
Jinhe naaz hai hind par woh kahan hain
Kahan hain kahan hain kahan hain