Sadhana Sargam, Udit Narayan

Kangana Kunware Kangana

in Mere Sajana Saath Nibhana

LYRIC

Kangana kunware kangana
Sajana pukare tera naam
Bindiya yeh teri bindiya
Dekhun main subah-o-shaam x (2)

Tere bin mere din na kate na kate meri raina
Ab to kahin bhi ik pal aaye na chaina
Kangana kunware kangana
Sajana pukare tera naam

Mehandi lagaungi main to tere pyar ki
Khushbu lutaungi tujhpe bahaar ki x (2)

Ban jaaun main tera gajra
Dekh ke tujhko hanse kajra x (2)

Mera mann yeh kahe
Tere tann ka banu main gahnaTere bin mere din na kate na kate meri raina
Bindiya yeh teri bindiya
Dekhun main subah-o-shaam
Kangana kunware kangana
Sajana pukare tera naam

Lipta rahunga main to tere angg se
Rang churaunga gori tere rang se x (2)

Sun to zara kya kahe jhumka
Dil dhadkaye tera thumka x (2)

Teri raah nihare sadaa ab to mere naina
Ab to kahin bhi ik pal aaye na chaina
Kangana kunware kangana
Sajana pukare tera naam
Bindiya yeh teri bindiya
Dekhun main subah-o-shaam

Saiyan teri yaad mein zindagi guzaar doon
Teri tasveer main aankhon mein utaar loon x (2)

Tere liye hai mera jeevan
Jaldi se mujhko bana dulhan x (2)

Ab hoke judaa tujhse mujhko nahi rehna
Tere bin mere din na kate na kate meri raina
Bindiya yeh teri bindiya
Dekhun main subah-o-shaam
Kangana kunware kangana
Sajana pukare tera naam

Ab to kahin bhi ik pal aaye na chaina
Tere bin mere din na kate na kate meri raina
Bindiya yeh teri bindiya
Dekhun main subah-o-shaam
Kangana kunware kangana
Sajana pukare tera naam