Mohammad Rafi, Sulakshana Pandit

Jab Jab Apna Mel Hua

in Mahua

LYRIC

Jab jab apna mel hua to dil yeh hi pukara

Janam janam tak toot sake na kabhi sath hamara

Tere gham ko gale laga ke ho
Apni khushiyan main tujhpe luta doon
Gar thoda sa tu muskura de ho
To veerane mein kaliyan khila doon

Chhed ke apne pyar ka naghma ho
Tere dil mein taraane jaga doon
Teri aankh ke aansu le ke ho
Naye chaand-sitaare bana doon
Ho neele gagan par deep jale hainZara dekho nazaara
Jab jab apna mel hua to dil yeh hi pukara

Lakh janam ke armanon ka ho
Koi rangin fasana bana doon
Lekar aag tere gaalon ki ho
Gore gore kanwal main khila doon
Ho dil kehta hai aaj milega nadiya se kinara