Lata Mangeshkar

Yaad Na Aaye Koi

in Maachis

LYRIC

Yaad na aaye koi
Lahu na rulaaye koi
Yaad na aaye koi

Haaye ankhiyon mein baitha tha
Ankhiyon se uth ke
Jaane kis desh gaya
Haaye ankhiyon mein baitha tha
Ankhiyon se uth ke

Shaam ke diye ne
Aankh bhi na kholiAndha kar gayi raat
Shaam ke diye ne
Aankh bhi na kholi
Andha kar gayi raat
Jalaa bhi nahi tha deh ka baalan
Koyla kar gayi raat Rabba
Aur na jalaaye koi
Yaad na aaye koi