Kavita Krishnamurthy, Kumar Sanu
Kaisa Yeh Pyar Hai
in Khiladi 420
LYRIC
Jab kisi ko kisi se mohabbat hoti hai
Yeh na poochho sanam kaisi haalat hoti hai
Jab kisi ko kisi se mohabbat hoti hai
Yeh na poochho sanam kaisi haalat hoti hai
Na subah ka pata na, khabar shaam ki
Kya kisi se kahein jaan-e-jaan
Kaisa yeh pyaar hai, yeh kaisa pyaar hai
Jab kisi ko kisi se mohabbat hoti hai
Jisne kiya hai usko pata
Kaisa nasha hai is dard kaNa rok raahein jaan-e-wafa
Karne de mujhko tu yeh khata
Ab to mita fasla..
Har ghadi bekhudi, har ghadi bebasi
Kyun sataane lagin dooriyan
Kaisa yeh pyaar hai, yeh kaisa pyaar hai
Jab kisi ko kisi se mohabbat hoti hai
Yeh na poochho sanam kaisi haalat hoti hai
Chehra tera yeh mere sanam
Meri nazar mein chhane laga
Kaise sambhaalun isko bhala
Seene se yeh dil jaane laga
Chalta nahin bas mera..
Na tujhe chain hai na mujhe hosh hai
Dhadkanein ban gayin hain zubaan