Asha Bhosle, R. D. Burman

Sapna Mera Toot Gaya

in Khel Khel Mein

LYRIC

Sapna mera toot gaya
Tu na raha kuchh na raha
Sapna mera toot gaya
Arre tu na raha kuchh na raha
Roti huyi yaadein mili
Bas aur mujhe kuchh na mila

Aapko aapko malum hai aapki tarah
Mera bhi ek sundar saajan tha

Aaja meri baahon mein aa
Pyaar bhari raahon mein aa
Sun le machalte huye dil ki sada re
Dil ki sada aa aa

Dil keh raha hai tera
Saath hai yeh tera mera
Ab zindagi mein kabhi
Hon na judaa re hon na judaa
La la lala
Na ja mujhe chod ke na ja
Chala gaya

Sapna mera toot gaya
Arre tu na raha kuchh na raha
Roti huyi yaadein mili
Bas aur mujhe kuchh na mila

Baar baar hum milte the
Par haan ek din mera hath pakadkar
Mujhe kheechta hua woh le gaya
Aur ek sundar gaadi mein bitha kar bola
Yeh tere liye hai raani
Raja gaadi to hawa se
Baatein kar rahi hai
Dekho na mujhe dar lag raha hai
Suno na raja aah please aahista
Gaadi ruki
Arre main to uski baahon mein hoon

Sharmana chhod de tu
Ghabrana chhod de tu
Aaj to bujha de mere
Dil ki lagi re dil ki lagi ho ho

Par tu hai jeevan sathi
Main hoon diya tu hai baati
Pyaar mein yoon jalne ka hai
Naam zindagi re naam zindagi
La la la lala lala la la lala

Pagli sapne bhi kabhi sach hote hain
Sapna hi tha toot gaya

Sapna mera toot gaya
Tu na raha kuchh na raha