Mukesh
Jis Gali Mein Tera Ghar
in Kati Patang
LYRIC
Jis gali mein tera ghar na ho balma
Us gali se humein to guzarna nahi
Jo dagar tere dwaare pe jaati na ho
Us dagar pe humein paanv rakhna nahi
Jis gali mein tera ghar na ho baalma
Zindagi mein kai rang raliyan sahi
Har taraf muskurati yeh kaliyan sahi
Zindagi mein kai rang raliyan sahi
Haan yeh rasmein yeh kasmein sabhi tod ke
Tu chali aa chunar pyaar ki odh ke
Haan yeh rasmein yeh kasmein sabhi tod ke
Tu chali aa chunar pyaar ki odh ke
Ya chala jaoonga main yeh jag chhod ke…
Jis jagah yaad teri satane lage
Jis jagah yaad teri satane lage
Us jagah ek pal bhi theharna nahi
Jis gali mein tera ghar na ho balma
Us gali se humein to guzarna nahi
Jo dagar tere dwaare pe jaati na ho
Us dagar pe humein paanv rakhna nahi
Jis gali mein tera ghar na ho baalma