Asha Bhosle

Jab Naam-e-Mohabbat Leke

in Kala Pani

LYRIC

Jab naam-e-mohabbat leke kisi
Nadaan ne daaman phailaya
Jab naam-e-mohabbat leke kisi
Nadaan ne daaman phailaya

Pehlu mein ajab sa dard utha
Palkon pe ek aansu tharraya
Dil baithe baithe bhar aaya
Kya kahiye humein kya yaad aaya

Aji chhodo yeh tarana hai purana
Ulfat hai deewano ka fasana
Jee lo jee lo yeh hai jeene ka zamana
Pyar kaisa kahan ki wafa

Aise aise
Aji chhodo yeh tarana hai purana
Ulfat hai deewano ka fasanaJee lo jee lo yeh hai jeene ka zamana
Pyar kaisa kahan ki wafa

Yaad aayi kisi ki mehki huyi
Saanson ki hawa halki halki
Yaad aayi kisi ki mehki huyi
Saanson ki hawa halki halki

Woh shaam woh rangon ke baadal
Chunri woh meri dhalki dhalki
Ik baat ne kitna tadpaya
Kya kahiye humein kya yaad aaya
Kya kahiye humein kya yaad aaya

Aji chhodo yeh tarana hai purana
Ulfat hai deewano ka fasana
Jee lo jee lo yeh hai jeene ka zamana
Pyar kaisa kahan ki wafa

Chhodo chhodo chhodo chhodo
Chhodo chhodo aji chhodo chhodo

Aji chhodo yeh tarana hai purana
Ulfat hai deewano ka fasana
Jee lo jee lo yeh hai jeene ka zamana
Pyar kaisa kahan ki wafa

Duniya se na rakh ummeed-e-wafa
Jab yoon hi kisi ne samjaya
Duniya se na rakh ummeed-e-wafa
Jab yoon hi kisi ne samjaya

Kuchh aur badhi seene ki jalan
Kuchh aur badha gham ka saya
Reh reh ke humein rona aaya
Kya kahiye humein kya yaad aaya
Kya kahiye humein kya yaad aaya