Anuradha Paudwal

Hum To The Anjaane – Yaar Dilbar Yaar

in Jungle Love

LYRIC

Hum to the anjaane
Hum to the anjaane
Hum dono yeh na jaanein
Yaar dilbar yaar kab hum pyar kar baithe
Yaar dilbar yaar kab hum pyar kar baithe

Hum to the anjaane
Hum dono yeh na jaanein
Yaar dilbar yaar kab hum pyar kar baithe

Pyar ki koi jaat nahi hai, na koi iski boli
Pyar ki koi jaat nahi hai, na koi iski boli
Nazar to padh le nazar ki boli
Bin kuch bole hamjoli
Na kuch sochein, na kuch samjheinYaar dilbar yaar aankhein chaar kar baithe
Yaar dilbar yaar aankhein chaar kar baithe
Hum to the anjaane
Hum dono yeh na jaanein
Yaar dilbar yaar kab hum pyar kar baithe
Yaar dilbar yaar kab hum pyar kar baithe

Aankhon ki boli hamjoli
Haan haan! Lagta hai thoda thoda samajh rahe ho.

Khwaab mein bhi na socha tha ke
Hum aise mil jaayenge
Khwaab mein bhi na socha tha ke
Hum aise mil jaayenge
Do daali ke phool ek daali mein khil jaayenge
Na kuch sochein, na kuch samjhein
Yaar dilbar yaar hum ikraar kar baithe
Yaar dilbar yaar hum ikraar kar baithe
Hum the to anjaane
“Hum the to” nahi “hum to the”
Hum the to anjaane
Hum dono yeh na jaanein
Yaar dilbar yaar kab hum pyar kar baithe