Mukesh

Waqt Karta Jo Wafa Aap Hamare Hote

in Dil Ne Pukara

LYRIC

Waqt karta jo wafa
Waqt karta jo wafa aap hamare hote
Hum bhi auron ki tarah
Hum bhi auron ki tarah
Aap ko pyare hote
Waqt karta jo wafa

Apni taqdeer mein pehle hi se
Kuchh to gham hai

Aur kuchh aap ki fitrat mein
Wafa bhi kam hai
Warna jeeti huyi baazi
To na haare hote
Waqt karta jo wafa aap hamare hote
Waqt karta jo wafa

Hum bhi pyase hain yeh
Saaki ko bata bhi na sake
Hum bhi pyase hain yeh
Saaki ko bata bhi na sake

Saamne jaam tha
Aur jaam utha bhi na sake
Kaash hum ghairate mehfil
Ke na maare hote
Waqt karta jo wafa aap hamare hote
Waqt karta jo wafa

Dum ghuta jaata hai seene mrin
Phir bhi zinda hain
Dum ghuta jaata hai seene mrin
Phir bhi zinda hain

Tumse kya hum to
Zindagi se bhi sharminda hain
Mar hi jaate na jo
Yaadon ke sahare hote

Waqt karta jo wafa aap hamare hote
Hum bhi auron ki tarah
Hum bhi auron ki tarah
Aap ko pyare hote
Waqt karta jo wafa