Anuradha Paudwal, Kay Kay

O Mere Rabba

in Dhaai Akshar Prem Ke

LYRIC

O mere rabba dil kyon banaya
Tanhayi se kyon tadapna sikhaya
O mere rabba dil kyon banaya
Tanhayi se kyon tadapna sikhaya

Kaisi hai teri khudayi
Koyi sune na duhayi
Ho gayi kya khata lut gaye
Ho gayi kya khata lut gaye

Kaun hai dil ke paas jo
Dhadkanein sun raha
Door se meri maang mein
Chandni bun raha

Beete huye lamhe yaad na kar
Aye ishq humein barbaad na karAshqon ke samandar sookh gaye
Ab milne ki fariyaad na kar

Dard ka aalam thehra
Door talak hai sehra
Pyar ke har nishaan mit gaye
Ho gayi kya khata lut gaye
O mere rabba dil kyon banaya
Tanhayi se kyon tadapna sikhaya

Jism to bejaan hai tere bin tere bin
Roshni se hai juda mere din mere din
Dil woh nagar hai jo basta nahi ujad ke
Pachtayega ya rab tu yeh basti ujaad ke

Kabhi ranjish kabhi shikwe
Kabhi mannat kabhi naale
Kiya na ishq tu
Kaise bhala is dard ko jaane

Chot jigar ne khayi
Hothon tak aah na aayi
Chahton ke diye bujh gaye
Ho gayi kya khata lut gaye
O mere rabba dil kyon banaya
Tanhayi se kyon tadapna sikhaya

Kaisi hai teri khudayi
Koyi sune na duhayi
Ho gayi kya khata lut gaye
Ho gayi kya khata lut gaye