Lata Mangeshkar

Na Jaane Kya Hua

in Dard

LYRIC

Na jaane kya hua jo toone chhu liya
Na jaane kya hua jo toone chhoo liya
Khila gulab ki tarah mera badan
Nikhar nikhar gayi, sanvar sanvar gayi
Nikhar nikhar gayi, sanvar sanvar gayi
Bana ke aaina tujhe aye jaan-e-man
Na jaane kya hua jo toone choo liya

Bikhra hai kajal fizaon mein

Aanchal kahan main kahan hoon
Yeh mujhe hosh kya hai
Yeh bekudi toone di hai
Pyaar ka yeh nasha hai
Sun le zara saaz-e-dil gaa raha
Hai nagma tera
Na jaane kya hua jo toone chhu liya
Khila gulab ki tarah mera badan
Na jaane kya hua jo toone chhu liya

Kaliyon ki yeh sej mehke
Raat jaage milan ki
Kho jaayein dhadkan mein teri
Dhadkanein mere man ki
Aa paas aa teri har saans mein
Main jaaoon samaa
Na jaane kya hua jo toone chhu liya
Khila gulab ki tarah mera badan
Nikhar nikhar gayi, sanvar sanvar gayi
Nikhar nikhar gayi, sanvar sanvar gayi
Bana ke aaina tujhe aye jaan-e-man
Na jaane kya hua jo toone choo liya
Na jaane kya hua jo toone chhoo liya
Na jaane kya hua jo toone chhu liya